Showing posts with label Occassional Poetry. Show all posts
Showing posts with label Occassional Poetry. Show all posts

Wednesday, January 2, 2013

Shayari For Mothers- Pyaari Maa Mujhko Teri Dua Chahiye

Pyaari maa mujhko teri dua chahiye,
Tere aanchal kii thandi hawa chahiye,
Pyari maa mujhko teri dua chahiye,
Lori gaa ke mujh ko sulati hain tu,
Muskura ke sawere jagati hai tu,
Mujh ko iss ke siwa aur kya chahiye,
Pyari maa mujh ko teri dua chahiye,
Tere aanchal kii thandi hawa chahiye,
Teri mamta ke saye me pholo phalo,
Tham ke teri ungle me badhta rahu,
Aasra bas tere pyar ka chahiye,
Pyaari maa mujhko teri dua chahiye,
Tere aanchal kii thandi hawa chahiye,
Teri kidmut se duniya me azmat mari,
Tere paao ke niche hai jannat meri,
Umar bhar sar par teri dua chahiye,

Pyaari maa mujhko teri dua chahiye,
Tere aanchal kii thandi hawa chahiye,
Pyaari maa mujhko teri dua chahiye,
Pyaari maa mujhko teri dua chahiye,
Pyaari maa mujhko teri dua chahiye,

Tuesday, January 1, 2013

Sad Shayari- Hum Kareeb hoker Bhi Itne Door Hain

Hum kareeb hoker bhi itne door hain,
Na milney par majboor hain.

Sochata tha kabhi to mil payenge,
Dil ke har baat keh payenge.

Kaise kahun yaad aati hai tumhari,
Zindagi mey har qadam par hai kyun lachari.

Hum chah kar bhi kuch kar nahi saktey,
Is doori ko ab kum kar nahi saktey.

Kehte hai jo kareeb ho kar bhi door hote hai,
woh bada badnaseeb hota hai.

Bas isi may hota hai mera shhumar,
Taras gaye hain karne ko tera deedaar.

samajhe aa jaye usko mera ishara,
Jis nay dikhaya tha doobti naiyya ko kinara.

Ab har waqt aankh rehti hai num,
us bin har khusi hai kum.

Hum kareeb ho ker bhi kyun itne door hain..????

Sad Shayari- Jaise Jalte Aaine Me Bhujha Hua Aks

Juda juda sa milta hai mujhkko harek shaks,
Chehare par hote hai sabke yaadon ke kuch naksh,
Halat kuch aisi hai hamare dil ki yaaron,
Jaise jalte aine me bhujha hua sa aks...

Occassional Poetry- Roj Sochata Hun Ki Bhool Jau Tujhe

Roj sochta hun ki bhool jau tujhe,
Magar yahi baat roj bhul jata hun,
Koi chehra khuda kee vaste,
Deedaar ke kay kabil dikhai de,
Hajaroon surate hai yaah,
Magar koi pyaar ke kabil dikhai de,
Hoon mai deewana magar koi pyaar to ho,
Jaan de doon main unme koi baat to ho,
Aap khuda se dua karey ki aap hamesha khus raha karen,
Varna hum to aapko hamesha pareshan karte rahenge,
Aapke chehre par muskurahat acchi lagti hai,
Magar pata nahin tumhen rulane me maja aata hai...

Occassional Poetry- Mite Faasale Mile Har Khusi

Mubarak ho tumko janmdin tumhara,
Sadaa khus raho ye dua hai hamari,
Mile har mukaam tumko,
Jise paane ki hai chahat tumhari,
Mite faasale mile har khusi,
Gulista ki tarah chamko ye dua hai hamari,
Chaman me khile khwabon ke jhadi,
Mile har manjil ye dua hai hamari,

Mubarak ho tumko ye janamdin tumhara,
Sada khus raho ye dua hai hamari,
Duaa to sayad sab ne di hogi,
Bahot se lafjo se sammani ki hogi,
Hum to bache hai kuch aata nahi,
Dil se dua nikali hai kuch to sahi hogaa..

Poetry On Occasion- Pyar Chupa Hai Aankho Me Itna Jaise

Pyar chupa hai aankho me itna jaise,
Ho pyar ka samundar basa,
Bhoole se bhi pyar kabhi na karna,
o meri bahana.....

Mumkin hai kabhi main dukha doon dil tera,
apni kisi baat se,
meri wo baat dil pe na lagana,
o meri bahana....,

Is kamzarf zamane se ladne ka,
housala ab tak diya,
yuhi saath hardum nibhana,
o meri bahana....

Mujhe yaad hai wo din jab main,
ek dam akela tha,
tab tumne hi apni baaton se mujhe housala diya tha,
zinda na hota main yun agar wo housala na hota,
ese hi jandagi ke har safar me hamsafar rehna,
o meri bahana.....

Yuun to mere aur tumhare beech,
dooriya bahut hai,
kabhi dilo me duriyan na bana lena,
o meri bahna......

Meri aastha kumkum sii tera pyaar chandan sa,
mere mathe par saja rahe sada tere pyaar ka teeka,
kabhi bhoole se bhi na bhula dena mujhe
o meri bahana....
o meri bahana....
o meri bahana....

About Us | Site Map | Privacy Policy | Contact Us | Blog Design | 2007 Company Name