Saturday, December 1, 2012

Shayari For Drinkers- Ilzaam Sharab Ko Diya Jata hai

Shayari For Drinkers- Ilzaam Sharab Ko Diya Jata hai



Nasha hum karte hain ,
ilzaam sharaab ko diya jaata hai,
magar ilzaam sharaab ka nahi unka hai,
jinka chehraa hume har jaam mein nazar aata hai…

Jamm pi kar apne gam ko kaha kam kia hamne,
Har waqt teri yaadon main in aankhon ko namm kia hamne.

Chaha tha tujhe bhulna par yaad hi kia hamne.
Aur jindagi ke baad bhi kabarr se haath nikaal kar tera hi intezar kia hamne.

Sham thi wo kaatil,jo uski yaaden le aai ,
Thy ham tanha, hame mahkhane le aaye,
Saaki ne toa aur bhi julam dhaya ham par,
Ke chalak gaya paimana, aisi aankhiyon se pilayi …

Nazar saaki par hain, aur lab paimaane par
Dil hamara hai aaj fir, kisi kay nishaane par
Woh khaali pyala liye letein hain, kabar main apni
Kehte hain sharab milaegi, jannat kay aane par..

Hamari kahani sunn sakee ki bhi aankhon main aansoo aa jate hain,
Saare mehkhane ki sharab peekar bhi hum nashe main nahi aate hain,
Kya karein sakee aab toa itni jyada peene lage hain,
Kay hum mehkhane main bhi darwaje se lauta diye jate hain.

Bichdee huae yaar hain millee par unkii yaade nahi bichdii
Gamm unke diye hain par unki chaah nahi bichdii
Saaki bottal khol de aaj saari tere maikhaane kii
Deekhen aaj pehmaano main rehta hai gamm ya hamare dil main…

Mat karo meri batoon pe yakin ,maine nashe mai hu,
Woh thi hamare kareeb , mai nashe mai haun…

0 comments:

About Us | Site Map | Privacy Policy | Contact Us | Blog Design | 2007 Company Name